Thursday, July 24, 2008

Jao Maaf Kiya..


Following is the poem inspired from "Priyanka Gandhi-Vadra forgiving episode":


Zindagee ki shrinkhalaon se seekha hai- mauka-parast kar baithhte hain vaar, mauka paate hee/
Toh sochta hoon- suna doon sajha ek saath hee/
Par phir bhi yeh samajh baithhte hain- itnee shakti hee kahaan/
Par dost dikhe nahin toh shakti Ram mein bhi nahin/
Aur dikhe to unse adhik shakti kisi mein bhi nahin/
Par kamjhor kya jaane shakti kya hai/
Woh toh jaane shakti ka pradarshan hee shakti hai/
Yeh toh jaane shaktishaali-ki shakti ka 'nahin-pradarshan' hee toh asli shakti hai/
Jao maaf kiya..par samajh na baithna- kamajhori se hai yeh shabd nikla/
Zindagee ki takleefon se gujarta hoo toh lagta hai-aparaadhee ke liye nyayalaya ka mrityudandh hee hai sahee sajha/
Naa rahegi vajhah, naa uthhenge sawaal/
Mujhe takleef naa vajhah se hai aur naa hee sawaalon se/
Par hai uss dhwani se jo banti hai inhee ki vajhah se/
Mujhe takleef isse bhi nahin hai- ki yeh dardnaak dhwani mere kaanon mein padati hai/
Par isse hai- ki yeh dhwani doosre maasoomon ke kaanon mein bhi toh padati hai/
Jao maaf kiya..par samajh naa baiyhna-kamajhori se hai yeh shabd nikla/
Zindagee ke udaahanon se jaana hai- ki anth mein dhanush toh Ram aur Arjun/Krishna ko bhi uthana padha tha/
Ahinsa ke bachav ke liye, hinsa ka sahara toh Gandhi ko bhi lena padha tha/
Par yeh yuddh kamjhor aur shaktishali ke beech nahin the/
Yeh the- shakti aur asli shakti ke beech/
Nakli samajh naa sake asli kya hai/
Aur asli samajhaa naa sake asli-nakli kya hai/
Yahi toh ek duvidha hai/
Jao maaf kiya..par samajh naa baithhna-kamjhori se hai yeh shabd nikla/

No comments: